Dhak Dhak dhadkta hai Dil uska bhi
Ragon mein Surkh Laal Khoon daudta hai uski,
Aankhon mein baste hain uski bhi hajaron Sapne
Roz raat chhat par wo bhi sitaare gina karti hai,
Aur subah sawere mogron ke bikhre phoolon ko
Mala mein piroti hai,
Jab wo hansti hai khil uthta hai Aangan mera
Jab roti hai to sarabor ho jaati hain
Mere Gaaon ki galiyan,
Saanjh dhale wo bhi apni Ammi ka Aanchal thame.,
chajje se door tak phaile
Sarson ke peele phoolon ke pare
Tak taki lagaye dekhti hai,
Aayne mein wo meri surat dekhti hai
Main use dekh muskurata hun,
Kuch zyaada fark nahi hai hum dono mein
Main Maathe pe mandir ka teeka lagata hun,
Aur wo Namaz padhti hai,
Sarhad ke uss paar
Meri ek dost raha karti hai...
0 comments:
Post a Comment